Skip to content

Dharti Aakash Dono (धरती आकाश दोनों)

Songwriter/Composer/Translator Unknown

    C                                 F
Dharti aakash dono, Prabhu ki aawaz sunenge
               C         G          C
Sansaar ke sab praani, Uska hi naam lenge

       C    Am     C             F          C
Prabhu ka vachan aisa hai, jo chiraag sa jaltaa hai
         Am    C          F          C
Us par koi chalta hai, jeevan use milta hai
                                           F
Uske niyam ko jo mane, wo kabhi bhi na bhatkenge
               C         G          C
Sansaar ke sab praani, Uska hi naam lenge
Dharti aakash dono

Prabhu ka samay aata hai, dharti magan hogi
Uski daya barsegi, aur door jalan hogi
Uske vachan ki mahima, aur shakti hum dekhenge
Sansaar ke sab praani, Uska hi naam lenge
Dharti aakash dono

Aankhe utha kar dekho, Prabhu ka din aayega
Usko grahan jo karega, wo saath jayega
Jisne Prabhu ko na maana, wo ek din roenge
Sansaar ke sab praani, Uska hi naam lenge

Dharti aakash dono, Prabhu ki aawaz sunenge
Sansaar ke sab praani, Uska hi naam lenge
Dharti aakash dono

Chords Used

Today: 4, All time: 105

Leave a Reply

Required fields are marked *

3 + 1 =
Powered by MathCaptcha